Saturday, November 20, 2010

Reah - an untold love story

7:00 p.m @ railway station
gauri " nandini jaldi kar late ho rahe hai abhi seat bhi dhundhni padegi"
nandini," chill yaar abhi 15 min hai train start hone me aaram se chal meri hairstyle kharan ho jaegi tre jaldi k chakkar me"
gauri," chup kar!! tujhe apne baalo ki padi hai train nikal gai to competition haath se jaega or ghar pe dant padegi vo alag."

gauri and nandini ne apne group se saath inter college dance competition me part liya tha or vo log usi ke liye ja rahe the.

nandini," ye le aa gai teri train."

unka pura group pehle se train me tha. or unhi ka intezaar ho raha tha. dusre college ke groups bhi usi train me the. unhi me se ek boys ka group tha. unki team ka lead dancer tha SHIV, a rockstar performer an singer.

poore group ki request thi k shiv ek song gae. bahut bolne k baad finally vo maan jata hai or song gata hai, uski avaaz or uski singing itni achchi thi k aas pass k saare passangers vahan usse sunne k liye aa jate hai.

nandini," wow!! kitni achchgi avaaz hai or kya gaata hai vo. chal na gauri hum bhi vahan chalte hai"

gauri, " bilkul nahi chup chap beth ja yahi pe mujhe nahi jana uss jhalle ko sunne k liye"

nandini, what? tu janti hai use? ese kyun bol rahi hai?"

gauri , " haan achchi tarah janti hu use. papa k ek close frnd ka beta hai vo SHIV SHARMA or mujhe bilkul pasand nahi ahi vo. bahut proud or badtameez hai vo or tune uske baare me ek or baar baat ki to dekh lena."


nandini," ok ok chidti kyun hai huh"

" vaise uski avaaz bahut sexy hai yaar "

gauri usse gusse se dekhti hai . or nandini fir se chupchap beth jati hai.


haan shiv or gauri family friends hai par unki ek dusre se bilkul anhi banti. 1 yr pehle pilani college me hue dance competition me unki ladai hui thi dance practice ke liye allot hue room ki vajah se or tab se dono ek dusre ki shakal tak dekhna pasand nahi karte. vo alag baat hai k unki team me se jeeta koi nahi tha or vo bhi unki ladai ki vajah se.

saari teams delhi me hone vale COSMOS dance festival ke liye aa gai hai. Administrator ne saari teams ko room allot kar diye hai. Room me jaate waqt shiv or gauri ka saamne hota hai. Or dono ke chehro pe ek dusre k liye gusse kea lava kuch nahi tha.

Gauri, “ yahan aate hi iski shakal dikhni hi bhagvan ji “
Nandini, “ to dikhne de na kitna cute hai bechara iski shakal dekhkar lagta nahi ye kisise lad sakta hai zarur tune hi pehle ladai ki hogi”
Gauri , “ kyun be main tujhe shakal se rakshasi lagti hu kya?”
Nandini , “ esa que to KBC me amitabh bhi nahi poochta to tub hi mujhse mat pooch main jhooth nahi bol paungi”

Gauri, “ matlab kya hai tera?”
Nandini,” nahi kuch bhi to nahi chal jaldi room me bahut thak gae na “
“ thnk god bach gai !!”
Gauri washroom se bahar aati hai tab nandini fir se use shiv ko lekar saval karti hai. “ vaise ye rehta kahan hai?”
Gauri, “ tujhe kya karna hai? Or tune fir uske bare me poochna shuru kar diya na. Nandini kasam se tune ek baar or uske bare me poocha na to main tera gala daba dungi”
Nandini “ ok ok ab anhi poochti vaise uski aankhein bahut xpressive hai na”
Gauri k gusse vale xpression ko dekhkar, “are main to vo abhi k bare me baat kar rahi hut u kyun ghoor rahi hai”

nandini and gauri dono apne baaki friends k saath dinning hall me jaate hai jahan pehle se baaki colleges ki team hoti hai.
Nandini, “ tu ruk main zara bahar jakar aati hu ek call karna hai”
Gauri, “ thik hai jaldi aana”
Achanak peeche se avaaz aati hai vahi jaani pehchaani si jise sunkar gauri shocked ho jaati hai.
Shiv, “ hi gauri mujhe laga that um dobara ese kisi competition me part nahi logi but wow i m surprised”
Gauri, “ kyun tumhe darr lag raha hai kya haar ne ka?”
Shiv , “ oh!! Main or harunga, achcha mazak karna seekh gai ho but abhi tak tum vaisi hi ho bilkul dumb or tumhare sense ko kya hua pehle hi bura tha or bura hota ja raha hai u need help girl”
Gauri, “ jinke pass khud dimag nahi hai unhe esi baatein nahi karni chahiye. Well good luck haar ne ke baad tumhe iski zarurat padegi na.”
Shiv haste hue, “ huh !! itz ok tumhari mentality jaanta hu main. Btw happy b’day in advance socha aaj hi tumhe wish kar du kya pata kal tumhe mera b’day wish karna pasand na aae to”
Usi waqt vahan nandini aa jati hai, “ hey ye kya bol raha tha tujhse? Mujhe to lagta that um log bata nahi karte ho”
Gauri, “ kuch nahi par use mera b’day yaad hai?”
Nandini, “ wow!! Tere to dushman bhi tera b’day yaad rakhte hai hmm lucky girl”
Gauri khud shocked thi k sabse pehle shiv ne use b’day wish kiya or use bhi badi baat use uska b’day yaad tha.

Next day

Aaj gauri ka b’day hai or dance competition bhi . subah se sabke ph calls aa rahe hai use b’day wish karne k liye. Kafi khush thi vo or xcited bhi apne competition ke liye
Udhar shiv ki team ne bhi poori taiyaari kar lit hi but in dono teams ko kya pata tha k vo iss competition me part hi anhi le paenge.
Evening me dono teams ready ho rahi thi tabhi gauri an uski team ko allot hue room me se crackers fatne ki avaz aati hai. Vo log room me jakar dekhte hai to vahan unme se ek dancer ki dress jail hui padi thi un crackers k fatne ki vajah se
Gauri ko lagta hai ye kam shiv ka hai. “ uss fattu ko main nahi chorungi. Jetme k liye ye log ese kam kar rahe hai iski to.
Nandini, “ oye ruk zaruri hai ye kam uska ho koi or bhi kar sakta hai na”
Gauri , “ nahi ye kam vahi karega or koi nahi kar sakta”
Nandini, “ are ruk ja tujhe kya lagta hai tu use kuch kahegi to vo maan jaega kya
Koi proof nahi hai humare pass”
gauri, “ to thik hai na hum bhi unke saath kuch esa hi karenge”
jab sab log room se bahar the tab gauri unke room me jakar unke shoes jise pehen kar vo performe karne vale the unme jakar fevicol laga deti hai jisse unke legs vahi chipak jaenge.

Sham ko jab shiv ki team ki performance ki baari atai hai to vo log shoes pehen kar taiyaar hote hai par jaise hi stage pe jaane ke liye taiyaar hote hai vo log thik se chal nahi pate. Vo log pareshan ho jate hai
Unke paas zyada waqt nahi tha bnaar baar unki team ka name announce hota hai . shiv administrator k pass jakar apniu pblm batata hai ki vo log kyun late hue
Par uski bata koi nahi sunta

Use gussa aata ahi jab vo gauri ko apni ahalt pe haste hue dekhte hai
Use samajh aa gaya tha ye sab usi ne kiya hai
Vo vahan use ladai karne k liye jaata hai or gusse me bahar padi unki performance vali dresses pe paint dal deta hai.
Dono ke beech me fir se bahut buri ladai hoti hai
Jab administrator ko pata chalta hai to dono teams ko disqualify kar diya jata hai.

Vo log next day hi apne home town vapas pahunch jaate hai.
Competition me ek or college jisme gauri ki frnd thi , uss team ne bhi part liya tha
Gauri ko use pata chalta hai k unki dress jalne ka reason shiv nahi hai infact vo kam kisi or ne kiya tha
Tab gauri ko apni galti par pachtava hota hai. Uski galatfehmi ki vajah se dono teams disqualify ho gai. Vo bahut roti hai or decide karti hai k vo shiv se sorry bolegi.
Par use pata anhi tha baat kaise kare uske pass uska koi contact no bhi nahi tha.
2 month ese hi nikal jaate hai. Par ab bhi gauri guilty feel kar rahi thi apni galti par.

Aaj gauri ke chote bhai ka b’day tha or shama ko uski b’day party. Use bilkul ummeed nahi thi k aaj vo shiv se milne vali hai.
Sham ko party me chote bachche khel rahe hote hai or gauri vahi akele bethi thi vaise hi udaas abhi tak apni usi galti k bare me sochkar. Achanak, “ hi miss daisy”
Vahi avaaz jise sunakr vo fir se shocked thi. Vo p[eeche mudkar dekhti hai or shiv ko vahan paati hai. Vo usi ki taraf dekhkar muskura raha tha. “ kya hua achcha nahi laga mujhe dekhkar?”
Gauri,” nahi esi koi baat nahi hai shiv vo bas mujhe ummmeed nahi thi tum uss din k baad mujhse baat bhi karoge. M sorry uss din meri galti thi. Mujhe galatfehmi thi tumhare bare me . mujhe laga vo dress tumne jalai hai to maine bhi tumse badla lene k liye vo sab kiya. But main galat thi. Mujhe maaf kar do plz mujhe ye sab nahi karna chahiye tha. Meri vajah se dono teams disqualify ho gai “ itna kehte hi vo rone lagti hai.

Shiv, “ hey pagal bas karo mujhe sab kuch pata hai. Tumhe xplanation dene ki zarurat nahi hai yaar. Hota hai hum logo ne humesha ladai hi to ki hai. Tumhari jagah main hota to main bhi yahi sochta. Vaise vo tumhari frnd hai na nandini usne sab bata diya tha.

Orrr maine suna k tum last 2 month se mujhse baat karna chahti thi. Infact mera contact no bhi dhundh rahi thi.................................chakkar kya hai hmm?”

Gauri, “ oh plz esi koi bata nahi hai vo to bas mujhe sorry bolna tha so.....”
.............................” wai wait bas ek sorry k liye koi itna pareshan hota hai ya koi or bata hai?” shiv

Gauri, “ ho gayi tumhari bakvas khatam. Maine sorry bol diya tumne sorry accept kar li ab baat khatam huh galti se bhji mat sochna k main tumpe fida vida ho gai hu samjhe”
Shiv, “ tumhere pata anhi par main to ho gaya hu na”
Gauri “xcuse me”
Shiv, “ oh u r xcused”.............” so ab ladai band karke frnds ban jae? Wat say”
Gauri, “ vaise tum itne bhi bure nahi ho. Ok”
Shiv, “ thnk god ab tum bahut jaldi mujhe pasand bhi kar logi”
Gauri, “ tum flirt bhi karte ho. Mujhe laga tha tumhare andar itni buri aadat to nahi hogi par koi bata nahi dheere dheere sudhar jaoge”

Dono bahut close frnds ban jaate hai or ek din shiv gauri ko propose kar deta hai. Par gauri in sab k liye taiyaar nahi thi.
Shiv, “ tumse kuch kehna tha. Mujhe lagta hai tumhe apne name k saath surname change kar lena chahiye. Tumhara name gauri purohit se gauri Sharma zyada achcha lagega.”
Vo ring nikalta hai or “ wat say gauri would u like to change to gauri Sharma?”
Gauri, “ shiv main............. hum frnds hai tum mujhe achche lagte ho but main tumse pyaar nahi karti. M sorry”
Vo shiv ko kuch kehne ka mauka nahi deti or vahan se chali jati hai. Shiv ko samajh nahi aata vo kya kare. Par use fir bhi yakeen tha gauri zyada din tak na anhi keh paegi. Use pata ahi uski zindagi me koi or nahi hai or vo gauri se bahut pyaar karta hai ek din vo use zarur milegi.

Diwali ki taiyari chal rahi thi. Shiv decide karta hai k vo gauri ko fir se propose karega.
Diwali vale din dono ki family milti hai vahan gauri or shiv bhi milte hai.
Shiv” happy diwali”
Gauri “same to u. Shiv uss din k liye sorry mujhe ese uthake nahi jana chahiye tha par tum bhi na ese achanak propose kiya k mujhe kuch samajh nahi aaya”
Shiv, “ vaise achanak nahi to kya muhurat nikal k propose karte hai kya”
Gauri, “ tum joke marna band nahi karoge na”
Shiv, “ iss baar joke nahi hai na hi pehle tha mujhe ab bhi tumhare javab ka intezaar hai.

Gauri uski baatein sunkar gussa ho jati hai or use bhala bura bol deti hai. Vo anhi chahti thi use koi ese uske saath dekhe or baatein banae

Shiv ko bahut bura lagta hai or chala jata hai
Or jaate jaate gauri ko bolkar jata hai ek din tumse itna door chala jaunga k vapas bulane par bhi nahi aaunga.

Kuch month baad shiv air force academy me training k liye jata ahi vahan uska selection Indian air force me ho jata hai.
gauri ko ab bhi shiv ki vo kahi baat yaad aati hai “ ek din tumse itna door chala jaunga k bulane par bhi vapas nahi aaunga”
gauri ko bahut ajeeb lag raha tah uss din jaise kuch galat hone vala hai
uss din use feel hota hai k vo bhi shiv se pyaar karti hai. Usne decide kar liya tha k vo shiv ko aaj bol degi. Vo bahut khush hoti hai par uski khushiya kuch hi pal ki thi.

Vo neeche hall me jatai hai vahan uske papa ph pe kisi se baat kar rahe the or tv ko dekhkar pareshan ho rahe the
Use samajh anhi aa raha tha kya hua hai. Vo papa ko poochti hai to jo vo suntai hai use sunkar jaise vo shocked ho jati hai
Uski anakho se aansu nahi ruk rahe the. Usne bahut der kar di thi shiv ka plane crash ho gaya tha vo sab ko chor kar ja chukka tha.

Gauri ki jaise sarai dunia khatam ho gait hi......


Uske pass kuch nahi bacha tha...............................................


No comments:

Post a Comment