Wednesday, January 12, 2011

Anjaan Raahe

By: Devasya Rahul

देखो ये ठिठुरती राहें
अनजान सी ,सूनी सी
न जाने कहाँ चली जाती हैं
सर्द हवाओं से
मदमाती हुई
शायद तेरी ओर चली जाती हैं

खामोश ज़मीन को
पिघला हुआ आकाश जगाता है
एक 'प्रश्नवाचक' भी लगता है
और
सूनी राह का मन
न जाने कैसी तन्हाई से भर जाता है

ये भीगी फज़ाएँ तो सब सहने की आदी हैं
तन्हा दिल के कोने से एक धुआं सा उठता है
रस्ते पे सोया
कोई एक नाम
भीग के बोझिल आखों से
नंगे पांव
उतरता है

मेरी बातों को सुन के कहता है
सुनो.....थोड़ी सी जगह दे दो
तो ये राह कट जाएगी मेरी...!!

Dundhlati Manjil



Chal pade hai raaste par manzil ko hai pana,
na jaane kaha jana hai niche hai zameen upar hai aasma

Tay kar liya hai humne kuch ban k hai dekhana
heere ko choddkar kar har pathar ko hai azmana

Payenge hum khushi ya gum is raaste par ??
Manzil hai dhundlati naahi koi naksha hai naahi koi aakar !

DHUNDLATI MANZIL dhire dhire nazar aayegi
jab manzil raaste par chalte chalte nazdik aayegi.

Manzil ko pana hai lakshya apna
raaho par jo b mile bas ho dost apna

dushman bi agar mile manzil ki raaho par
saath chala lena use kandhe se kandha milakar

Dosti yaari aur pyaar karenge madad karneme sapna saakar
Saaf nazar aayegi DHUNLATI MANZIL aasani ne se ho jayegi paar

bas itna dyan rakhna bhul na jana apno ko, manzil ko pakar
laut aana shukriya karne unka, saath diya jinhone
DHUNDLATI MANZIL hui hai saaf jinke saath honpar.

aasman

By: Ishita Shah

hame yaad hai....
issi asmaan tale uss barish me
bhigte hue fuharo ko
chehre par muhsus kia karte the...
maine kaha tha mujhe barish acchi lagti hai
aur tum roj mere sath bhiga karte the..
mere hotho ki vo mushkurahat dekhne ke lie

hame yaad hai...
sham ko bagiche me intazaar kia karti thi...
dur dur rasto pe tere aane ki aahat ko taaka karti thi
tab suraj bus dhalne ko hi hota tha
usske sath tumhe sandesa bheja karti thi
aao jao jaldi se, ki dil nahi lagta tumbin
teri yaad me aasmaan se shikayat kia karte the....

hame yaad hai...
jab tumse rooth jaya karte the..
chaat pe aake beth jaya karte the...
tum mujhe manane aate the
khub minnate karte the
fir tum mujhe baaho me le lete the
aur hum maan jaya the
ye aasmaan hamara gavaah hua karta tha
jasie hamara pyar dekhke muskuraya karta tha

ajj vo bhi khamosh hai..
meri tarah usske maanme bhi kai savaal hai
meri tarah khamoshi ne usse bhi gher lia hai

vo baat raha hai lamhe...
kuch thehre hue...kuch ruke hue...
vo teri aahato me simte hue.....
tere yaado me gunje hue....
danfna ho gai hai unnmese kuch rasto par hi...
jaha tumne mera sath chhoda tha
vaha meri bhi kabr tere sath bani hogi
logo ne bus dekha hoga tera janaza
meri khavaab aur armaano ki chita bhi vahi par jali hogi

dekho....
vo asmaan ajj vapis khamosh hai
rasta bhi ajj tanhaiyo me dooba hai..
jasie kai saal ho gae yaha se kisiko gujare hue..
ek savaal jo mere maan me hai
vo uss assman ko bhi sata raha hai...
abb kisski raah dekhu?
abb kiska rasta taku?
vo barish jo acchi lagti thi...
unn badalo par hi savaal lag gae...
ajj vo bhi khamosh hai..
meri tarah usske maanme bhi kai savaal hai
meri tarah khamoshi ne usse bhi gher lia hai

पहचान......

जितने मुसाफ़िर
उतने सफ़र ...
जितने रास्ते
उतनी मुश्किलें ...
उम्रभर दौडती रहती है ज़िन्दगी ...
रास्तों से अधिक लम्बी है मंजिलें ...
राह में ......
धोखा है ,छल है ,कपट है ,बेवफाई है
काई के नीचे जड़ें ....
तलाशतीं हैं अपनी पहचान ....
कोई कुटिल , अपने अहं की खातिर
झाड़ियों के पीछे ....
उतारता है अपनी
केंचुल ......!!

Two Liner

By: Sachin Mishra


Main kab Tak Tujhe Paane Ki Chahat Main Zillat Uthaata Rahoon...
Koi Aisa Dhoka De K Meri Har Aaas Toot Jaye...

Triveni

By: Sachin Mishra


Aaj Jab Haath Uthana DUA k Liye..
To Humei'n Mat Bhoolna KHUDA k Liye..


Kya Pata Humarey Naseeb ki Khushya'n Muntazir Hon Aap ki Ek DUA k Liye..!

Triveni

By: Ishita shah

Angaan me gumsum sa mauhol chaaya hua hai...
Dhup bhi kuch sard havao me lipat gai hai....

Meri tarah ye bhi har subaha tera paygaam ane se hi nikharte hai ajjkal....

Two Liner

By: Deepak Jotwani

Dhunde nikla hu gali gali sabse ajiz chiz
gar laut aya hu khali hath MAA k pass !

Triveni

By: Deepak Jotwani

Hum chale jayenge to gam na karna
yaad bhi agar aaye to ankhen nam na karna

Jana to sabko hai, der se hi sahi par mulakat to fir honi hai !

Triveni

By: Prabhu

मैंने ज़िस्म में जितने भी मुहब्बतों के बीज थे

तेरे नाम की लाकीरों पे बो दिए हैं ....
.
.

अब तू ही बता ....मैं ख्यालों को किस ओर मोडूं ...

Two Liner

By: Prabhu

मोहब्बत खिलखिला के हंसने ही वाली थी

कि गुज़र गई कुछ अर्थियाँ फ़िर करीब से ....

Two Liner

By: Prabhu

तेरी चाहत की मदहोशी में डूबता हु हर रात ,
जाने कब दीदार-ऐ-यार की सुबह होगी।

Triveni

By: Vikas Patni

Dafan hoo aapke ghar k pass qabaristan me...
Magar fir b aap rote ho.....

Khud hi to kaha karte the ki bana lo karib koi thikana ki milna aasan ho jaye....!!!

Triveni

By: Vikas Patni

'din nikalte hi tere bare me sochta hoo me
aur isi soch k sahare jee raha hoo bas me..!!

par yeh Rat badi jaldi aa jaya karti hai sardiyo me....

Two Liner

By: Vikas Patni

"Teri yaad kuch is tarah se sama gayi hai mujhme
ki tujhe chah ki b me bhula nahi sakta"

Triveni

By: Devasya Rahul

jab se mujhko sardi bahut satati hai...........!!
aur teri yaad bahut sard hoti jaati hai.........!!

mei haule se ....tujhko pehan liya kerta hun..

Two Liner

By:Devasya Rahul

Main kafas mei is kadar uljha raha bason baras,
ab khula hai aasmaan, parwaz ab bhaati nahi.

Two Liner ...

By: Ishita shahi

na koi mausam asar karta hai, na dino ka hisaab rehta hai....
yu muddate gujar jati hai ek najar bhar me tere sath...

*↘ Task 4-Mehfil-E-Mushaira- Sher & Triveni ↙*

Triveni... By : Ishita shah

dil kholke chalo ajj hum ek baar ro le....
kai dino se dil me daba rakha hai ek gubaar....

roj roj kisse waqt hota hai itna apne baare me sochne ka....

Nasha

By: Deepak Jotwani
Mehfil lagi hai yaaro ki kuch alag andaz me
har koi hai ajeebo gareeb libas me

Saare jhum rahe hai apni apni masti me
koi baitha hai bar me to koi angreji kashti me

Ho raha hai asar har kisi k dimag me
kisi ki jhum rahi hai darti
koi khoya hai pyar me

koi Baitha hai mandir me darshan k intzar me
kar raha hai bhakt Nasha bhakti k ijhar me

har kanjoos ko nasha hai apne paiso me
corrupt ko nasha hai free k taxo me

Nasha nahi sirf Daru , cigrate , charas aur ganje me
Nasha to har kisi ko hai apni apni Ichao me

Saari Duniya jhum rahi hai Nashe me hil raha hai sara sansar
Hosh me aao duniawalo har Nasha hai bilkul bekar

MAA

By: Sachin Mishra
Chhatee se laga kar ke kaha karti thi Maa mujh ko..
Tuu laal hai mera.. Yun na sataa mujh Ko..

Pachtayega ek din jab main chali jaoongi.
Na Chahte hue bhi dunia main akela chhor jaungi.

Zamana dikhayega garmi Ki shiddat tujh ko.
Fir kahin yaad kar k fir tu royega mujh Ko.

Bicchhda usse aise ki kabhi yaad na kiya maine
Lamhaa ek bhi milne ko usse barbaad na kiya maine.

Hua yun mudaatoon se meri Maa ne seene se nahi lagaya..
Ab So gayi khak mein jab kuchh kahne ka waqhat aaya..

So gayi khak mein jab kuchh kahne ka waqhat aaya....!!

Shama vs. Cigarette...

By: Ishita shah
Ek jugnoo pe cigarette ka yu khumar chad gaya hai
Shama ka chod dia aajkal karna didar hai

Jalke cigarette ne mitae hai jugnoo ke saare gum
Dil jal raha ahi shama ka bhi najarandaaz hai jugnoo ko kyu ye shama pe sitaam

Jugnoo naraaz hai kyu cigarette se shama jalti hai
Jalti to cigarette hai, ye shama kis baat ki shikayat karti hai?

Cigarette ki qurbani par jugnoo ko itna naaz hai
Shama to sadio se jal rahi hai, kya usske jalna bekar hai?

Cigarette jal jati hai, slow poison ka asar karti hai
Shama hardum jalke aauro ke dilo ko roushan karti hai

Jugnoo ne ye baat jaan kar bhi annsuni kar di
Shama ko chod vapis ussne cigarette ke naam jhindagi kar di

Cigarette ke dhue ne shama ka dum ghot dia hai
Cigarette ne jalke iss baar shama ki jhindagi me andhera kar dia hai

MAA

By: Ishita Shah

ha hum jante hai...
bohot kum din reh gae hai yaha par maa tere sath hamare....
fir kahi aur basera kar lenge....
fir iss aachal ko taras jaenge....
fir iss laad pyar se dur ho jaenge....

ha hum jante hai....
yahi duniya ki reet hoti hai...
ek rishta jhindagi bhar jod lete hai...
saare purane rishto ko piche chhod dete hai....
unnko fir yaado ke kone me samhale...
puri jhindagi basar karte hai....

ha hum jante hai.....
kal tune jo kaha tha....
abb subah tadke meri avvaz nahi hogi...
tujhe khud bhor banke abb jhindagi khudki samhalni hogi...
galti par kal tak meri mujhe daat dia karti thi...
kaan pakadke mujhe vapis sikhaya karti thi....
abb galti karne par usski sikhai baat yaad karni hai...
ladkhadate hi sahi.. abb pura rasta khud hi taye karana hai....

ha hum jante hai...
usske pyar bhare hatho se kai baar hame nivala khilaya....
vo khud nahi khati thi jab tak hamare farmaish ko ussne pura na kia...
abb chulha jalate hi teri yaad aaegi...
kitna bhi koshish kar le.. teri tarah meri sevaiya nahi banpaegi....
kaise banegi... ussme tere hatho ka jadu nahi hoga...
shubh kaam se pehele abb dahi ke shagun tere hatho se nahi milga...

ha hum jante hai....
kal tak tumse khub laad pyar karva lia karte the....
kuch hum kahe aur na mile to muh fulae beth jate the....
yaad hai pehli baar humne apne hatho se jali hui rotia tumhe khilai thi....
yaad hai pehli baar tumhe apni ek kavita sunai thi....
vo geeto se, phoolo se aur rango se pyar karna tumne hi sikhaya tha....
tumne ussme kuch nukhsa nikal unn koshisho ko savara tha....
ajj meri koshihse savaar gai hai....
par unnme vo rang ajj bhi dhunda karti hu...
jo tumne apne pyar se rangi hai....
usse haarpal odh lia karti hu...

ha hum jante hai...
ek naya basera basaana hai...
jaha hame abb khud hi khud ko samhalna hai...
teri sari yaade sametlene de damaan me hame...
sasuraal me dilaegi yaad ye chunar teri maa hame ....
jab yaad ayegi teri issko tera achal samajh lungi...
isse odh lungi.. khub ro lungi....

ha hum jante hai...
tu assuo se hame bida karegi...
dilse laakho duvae naye jivan ke lie degi....
maa...teri sari sikhai hui baate yaad rakhungi...
abb mai bhi teri muraat ban jaungi...
jyo tune tinka tinka kar apna ashiya sajaya...
abb mai bhi apana ghar sajaungi...

ha hum jante hai...yahi duniya ki reet hoti hai...
Sasuaral aur mayke me abb mai baat jaungi...
Jab tere pass aungi .. vapis teri pyari beti ban jaungi...
aur Sasuaral jake tumhari muraat ban jaungi..

ha hum jante hai...
bohot kum din reh gae hai yaha par maa tere sath hamare....
fir kahi aur basera kar lenge....
fir iss aachal ko taras jaenge....
fir iss laad pyar se dur ho jaenge....

ha hum jante hai....
yahi duniya ki reet hoti hai...
ek rishta jhindagi bhar jod lete hai...
saare purane rishto ko piche chhod dete hai....
unnko fir yaado ke kone me samhale...
puri jhindagi basar karte hai....

ha hum jante hai.....
kal tune jo kaha tha....
abb subah tadke meri avvaz nahi hogi...
tujhe khud bhor banke abb jhindagi khudki samhalni hogi...
galti par kal tak meri mujhe daat dia karti thi...
kaan pakadke mujhe vapis sikhaya karti thi....
abb galti karne par usski sikhai baat yaad karni hai...
ladkhadate hi sahi.. abb pura rasta khud hi taye karana hai....

ha hum jante hai...
usske pyar bhare hatho se kai baar hame nivala khilaya....
vo khud nahi khati thi jab tak hamare farmaish ko ussne pura na kia...
abb chulha jalate hi teri yaad aaegi...
kitna bhi koshish kar le.. teri tarah meri sevaiya nahi banpaegi....
kaise banegi... ussme tere hatho ka jadu nahi hoga...
shubh kaam se pehele abb dahi ke shagun tere hatho se nahi milga...

ha hum jante hai....
kal tak tumse khub laad pyar karva lia karte the....
kuch hum kahe aur na mile to muh fulae beth jate the....
yaad hai pehli baar humne apne hatho se jali hui rotia tumhe khilai thi....
yaad hai pehli baar tumhe apni ek kavita sunai thi....
vo geeto se, phoolo se aur rango se pyar karna tumne hi sikhaya tha....
tumne ussme kuch nukhsa nikal unn koshisho ko savara tha....
ajj meri koshihse savaar gai hai....
par unnme vo rang ajj bhi dhunda karti hu...
jo tumne apne pyar se rangi hai....
usse haarpal odh lia karti hu...

ha hum jante hai...
ek naya basera basaana hai...
jaha hame abb khud hi khud ko samhalna hai...
teri sari yaade sametlene de damaan me hame...
sasuraal me dilaegi yaad ye chunar teri maa hame ....
jab yaad ayegi teri issko tera achal samajh lungi...
isse odh lungi.. khub ro lungi....

ha hum jante hai...
tu assuo se hame bida karegi...
dilse laakho duvae naye jivan ke lie degi....
maa...teri sari sikhai hui baate yaad rakhungi...
abb mai bhi teri muraat ban jaungi...
jyo tune tinka tinka kar apna ashiya sajaya...
abb mai bhi apana ghar sajaungi...

ha hum jante hai...yahi duniya ki reet hoti hai...
Sasuaral aur mayke me abb mai baat jaungi...
Jab tere pass aungi .. vapis teri pyari beti ban jaungi...
aur Sasuaral jake tumhari muraat ban jaungi..

Barish

Name: Vikas

सूरज की बाद्लों से आँख मिचोली चल रही है ..
तपती धरती को बारिश की ठंढी फुहारे मिल रही है !!

सब खुश है चारो और ...बस एक हमे छोड़ कर
हमे तो इस मोसम में बस आप की कमी खल रही है !!
तपती धरती को बारिश की ठंढी फुहारे मिल रही है !!!

आप आयेंगे नही आप को ख्याल ही कहा है हमारी खुशी का ॥
आप की और भी कुछ बादल कर दे हवा से हमारी बात चल रही है !!
तपती धरती को बारिश की ठंढी फुहारे मिल रही है !!!

बारिश की बूंन्दे कुछ इस तरह से गिरी है तन पे ..
जैसे आप ने छुहा हो हमे प्यार से .... आ जाओ अब तो ये रात भी ढल रही है !!
तपती धरती को बारिश की ठंढी फुहारे मिल रही है !!!

इसे आप शिकायत मत समझना ..हम नाराज़ नही है आप से ..
बस ये तो हमारी तमन्नाये है जो मचल रही है !!
तपती धरती को बारिश की ठंढी फुहारे मिल रही hai !!

MAA

Name: Vikas

माँ
एक ऐसा शब्द जिसकी परिभाषा सब के लिए अलग अलग है, एक ऐसा अक्षर जिस पे बड़ी बड़ी किताबे लिखी ja चुकी है or लिखी जा रही है पर इस को शब्दों में नही बाँधा जा सकता !
में आज जहा भी हूँ उसकी वजह से ही हूँ :-
माँ जिसने मुझे गिर के संभालना सिखाया !
माँ जिस ने मुझे कभी सपनो से तो कभी हकीकत से मिलाया !
माँ जिस ने मेरा हमेशा होंसला बढाया , ख़ुद रोते रहे पर मेरी aankho में aasoo n आने दिया!
माँ मुझे जमाने se कदम मिला k चलना सिखाया पर कभी ग़लत रास्ते n जाने दिया!
माँ हर buri नज़र से बचने के लिए मेरे aaage खड़ी है, हर बार मेरे लिए जमाने से bhidi है !
माँ जो mujh को mujse jyadaa जानती है , मेरी हर मांग को बिना बोले pacchanti है !
माँ जो ख़ुद से jyadaa मेरी chinta करती है , मेरे सारे गम भी ख़ुद harti है !
माँ घर में ही नही job में भी मेरी help करती है , मेरे से jyadaa mere decisions pe wo dhyan rakhti hai !
माँ तू न होती तो में tanhaa हो गया होता , duniyaa की भीड़ में कही खो गया होता !
माँ जिस से में करता हूँ अपनी दिल की हर बात, हमेशा मेरे sr पर है जिस का हाथ!
हर खुशी तेरे kadmo me होगी अब जमाने की---tere bachho ki umr ho gayi hai kamaane ki !

*↘ Task 3-Mehfil-E-Mushaira-Theme Shayari/Poem ↙*

Barish
Name : Ishita

Ye pehli barish kuch yaad dila jati hai
Tum sath kyu nahi yeh fariyaad kar jati hai

Beete hue lamho ke galiyro se kuch yaade chali aai
Tum sang jo bitaye woh barish muzko ajj jala gai

Sab kuch bhul kar tere pyar me bhig jana
Tare sath kiye the humne kitne toofano ka samna

Jab badal jorr se garajate the
To hum dar kar teri baho me chup jate the

Woh pehli barish ki bondo ka chehre ko chu jana
Pheli barish me phele pyar ka ehsaas ko mehsoos karna

Ajj bhi barish kuch aise hi barasti hai
Ajj bhi bijali ki awaaz hame dara jati hai

Par ajj hum akele hi barish me bhigte hai
Barish ke bahane apne assuo ko chupa lete hai