Wednesday, January 12, 2011

Shama vs. Cigarette...

By: Ishita shah
Ek jugnoo pe cigarette ka yu khumar chad gaya hai
Shama ka chod dia aajkal karna didar hai

Jalke cigarette ne mitae hai jugnoo ke saare gum
Dil jal raha ahi shama ka bhi najarandaaz hai jugnoo ko kyu ye shama pe sitaam

Jugnoo naraaz hai kyu cigarette se shama jalti hai
Jalti to cigarette hai, ye shama kis baat ki shikayat karti hai?

Cigarette ki qurbani par jugnoo ko itna naaz hai
Shama to sadio se jal rahi hai, kya usske jalna bekar hai?

Cigarette jal jati hai, slow poison ka asar karti hai
Shama hardum jalke aauro ke dilo ko roushan karti hai

Jugnoo ne ye baat jaan kar bhi annsuni kar di
Shama ko chod vapis ussne cigarette ke naam jhindagi kar di

Cigarette ke dhue ne shama ka dum ghot dia hai
Cigarette ne jalke iss baar shama ki jhindagi me andhera kar dia hai

No comments:

Post a Comment