Wednesday, January 12, 2011

aasman

By: Ishita Shah

hame yaad hai....
issi asmaan tale uss barish me
bhigte hue fuharo ko
chehre par muhsus kia karte the...
maine kaha tha mujhe barish acchi lagti hai
aur tum roj mere sath bhiga karte the..
mere hotho ki vo mushkurahat dekhne ke lie

hame yaad hai...
sham ko bagiche me intazaar kia karti thi...
dur dur rasto pe tere aane ki aahat ko taaka karti thi
tab suraj bus dhalne ko hi hota tha
usske sath tumhe sandesa bheja karti thi
aao jao jaldi se, ki dil nahi lagta tumbin
teri yaad me aasmaan se shikayat kia karte the....

hame yaad hai...
jab tumse rooth jaya karte the..
chaat pe aake beth jaya karte the...
tum mujhe manane aate the
khub minnate karte the
fir tum mujhe baaho me le lete the
aur hum maan jaya the
ye aasmaan hamara gavaah hua karta tha
jasie hamara pyar dekhke muskuraya karta tha

ajj vo bhi khamosh hai..
meri tarah usske maanme bhi kai savaal hai
meri tarah khamoshi ne usse bhi gher lia hai

vo baat raha hai lamhe...
kuch thehre hue...kuch ruke hue...
vo teri aahato me simte hue.....
tere yaado me gunje hue....
danfna ho gai hai unnmese kuch rasto par hi...
jaha tumne mera sath chhoda tha
vaha meri bhi kabr tere sath bani hogi
logo ne bus dekha hoga tera janaza
meri khavaab aur armaano ki chita bhi vahi par jali hogi

dekho....
vo asmaan ajj vapis khamosh hai
rasta bhi ajj tanhaiyo me dooba hai..
jasie kai saal ho gae yaha se kisiko gujare hue..
ek savaal jo mere maan me hai
vo uss assman ko bhi sata raha hai...
abb kisski raah dekhu?
abb kiska rasta taku?
vo barish jo acchi lagti thi...
unn badalo par hi savaal lag gae...
ajj vo bhi khamosh hai..
meri tarah usske maanme bhi kai savaal hai
meri tarah khamoshi ne usse bhi gher lia hai

No comments:

Post a Comment