Wednesday, January 12, 2011

MAA

By: Ishita Shah

ha hum jante hai...
bohot kum din reh gae hai yaha par maa tere sath hamare....
fir kahi aur basera kar lenge....
fir iss aachal ko taras jaenge....
fir iss laad pyar se dur ho jaenge....

ha hum jante hai....
yahi duniya ki reet hoti hai...
ek rishta jhindagi bhar jod lete hai...
saare purane rishto ko piche chhod dete hai....
unnko fir yaado ke kone me samhale...
puri jhindagi basar karte hai....

ha hum jante hai.....
kal tune jo kaha tha....
abb subah tadke meri avvaz nahi hogi...
tujhe khud bhor banke abb jhindagi khudki samhalni hogi...
galti par kal tak meri mujhe daat dia karti thi...
kaan pakadke mujhe vapis sikhaya karti thi....
abb galti karne par usski sikhai baat yaad karni hai...
ladkhadate hi sahi.. abb pura rasta khud hi taye karana hai....

ha hum jante hai...
usske pyar bhare hatho se kai baar hame nivala khilaya....
vo khud nahi khati thi jab tak hamare farmaish ko ussne pura na kia...
abb chulha jalate hi teri yaad aaegi...
kitna bhi koshish kar le.. teri tarah meri sevaiya nahi banpaegi....
kaise banegi... ussme tere hatho ka jadu nahi hoga...
shubh kaam se pehele abb dahi ke shagun tere hatho se nahi milga...

ha hum jante hai....
kal tak tumse khub laad pyar karva lia karte the....
kuch hum kahe aur na mile to muh fulae beth jate the....
yaad hai pehli baar humne apne hatho se jali hui rotia tumhe khilai thi....
yaad hai pehli baar tumhe apni ek kavita sunai thi....
vo geeto se, phoolo se aur rango se pyar karna tumne hi sikhaya tha....
tumne ussme kuch nukhsa nikal unn koshisho ko savara tha....
ajj meri koshihse savaar gai hai....
par unnme vo rang ajj bhi dhunda karti hu...
jo tumne apne pyar se rangi hai....
usse haarpal odh lia karti hu...

ha hum jante hai...
ek naya basera basaana hai...
jaha hame abb khud hi khud ko samhalna hai...
teri sari yaade sametlene de damaan me hame...
sasuraal me dilaegi yaad ye chunar teri maa hame ....
jab yaad ayegi teri issko tera achal samajh lungi...
isse odh lungi.. khub ro lungi....

ha hum jante hai...
tu assuo se hame bida karegi...
dilse laakho duvae naye jivan ke lie degi....
maa...teri sari sikhai hui baate yaad rakhungi...
abb mai bhi teri muraat ban jaungi...
jyo tune tinka tinka kar apna ashiya sajaya...
abb mai bhi apana ghar sajaungi...

ha hum jante hai...yahi duniya ki reet hoti hai...
Sasuaral aur mayke me abb mai baat jaungi...
Jab tere pass aungi .. vapis teri pyari beti ban jaungi...
aur Sasuaral jake tumhari muraat ban jaungi..

No comments:

Post a Comment