Sunday, February 27, 2011

The story - choti si love story

By - Riya Pareek

kehte hai bachpan ka pyaar infatuation hota hai, nadaani hoti hai par fir bhi bahut pure hota hai.
kuch log shayad ise bachpan ki naadani samajhkar bhool jate hai
piya and ashu bachpan ke dost hai infact best frndz hai. school ke first day se hi shayad kuch spl bonding ho gai thi unke beech uspe ye family frndz bhi hai.

school me dono itne achche frndz the ke dono ek dusre se milne ke liye roz school aate the koi chutti nahi leta tha or agar ek kabhi chutti le bhi le to dusra bhi school nahi jae.

4 saal baad jab school change hui to dono alag ho gae
piya ko galz school me dal diya gaya or fir un logo ne apna ghar bhi change kar liya. ashu ki family dusri city me shift ho gai. pehle to dono ek dusre ke liye bahut rote the fir dheere dheerey sab badal sa gaya. piya to jaise dheerey dheerey sab bhoolne lagi thi
par ashu , use sab yaad tha par uski majboori thi koi contact na hone ki vajah se vo piya se baat tak nahi kar paya tha itne saalo me.

kuch saalo baad ab fir se vo milne vaale the.

" piya uth ja bahut ho gaya iss saal boards hai or tu saara din soti rehti hai padhna nahi hai kya"

" mumma choro na tension na lo main top karungi par abhi plz sone do."

" uff ye ladki kitna soti hai "

bahar door bell bajti hai.

piya ki maa darvaza kholne jati hai. uski aunty gahr aai thi unke ghar function tha usi ka invitation dene.

" golu kaha hai. maine to use 2 saal se dekha bhi nahi kaisi hai ab vo?"

"bas so rahi hai vo to, tab se utha rahi hu use padhne ke liye par ispe koi asar nahi ho raha."

piya bahar atai hai or aunty ko namastey karke vapas jaane lagti hai tabhi ek naam sunkar jaise uske kadam khud ruk jaate hai. jaise sab pehle ki baatein abhi aankho ke saamne ghoomne lagi ho. jaise sab kuch vapas laut aaya ho. jise vo bhool chuki thi ek hi pal me sab aankho ke saamne aa gaya tha.

" ashu bhi bada ho gaya ab to. pehle kitni shararat karte the dono. vo log vapas a arahe hai yahan. or function me bhi aaenge. are piya tujeh ashu yada hai ya bhool gai"

piya vahan se chali jaati hai uski anakho me aansu the. use sab yaad aane lagta hai. or ye sunkar jaise uski khushi ka thikana nahi rehta ashu vapas a araha hai. par fir vo udaas ho jati hai

" agar vo mujhe bhool chuka hoga toh, jaise main bhi use bhool si gai thi shayad use bhi main yaad na rahu ab."

par uske liye jaise vo ek pal ki khushi kafi thi bas yahi jan kar ke ashu vapas aa gaya hai.

dono function me pahunchte hai par ek dusre ko pehchaan nahi pate unhone 12 saal se ek dusre ko dekha jo nahi tha.
Dono bade hairaan pareshan se jis kam ke liye function me aae the vo ho nahi pata. Bas ek dusre ko dhundhte hi reh jaatey hai par mil nahi paate.
Aakhir poochey bhi to kisse?
Tabhi kisi bata ko lekar aashu ke bhai me ladai ho jaati hai or inhi ke beech me fas jati hai piya.
Usi ladai ladai me unh eek dusre ka pata chalta hai. dono mann hi mann khush ho jatey hai par ab baat kare bhi to kaise.
Dono ko ek dusre se bata karni thi par himmat nahi ho rahi thi. Ashu himmat karke piya ke pass jata hai “ hey! Piya? Pehchaana mujhe? Ashu”
“itni der se tumhe dhundh raha tha. Aankho ke saamne thi par pehchaan nahi paya. Kaisi ho?”
“ main bhi. Aunty ne bataya that um aa rahe ho.”
Bachpan ke frnds aaj ek dusre se itna ajeeb tarah se baat kar rahe the jaise pehli baar mile ho. Jaise sab kuch badal sa gaya tha unke beech me. Kya tha ye koi nahi jan saka.
Dono vahan baatein karte hai. ek dusre ke bare me. Pichle 12 saal me kya kiya, kaha the sab jana or apne no xchange kiye.
“to tum ab vapas nahi ja rahe?” piya
Ashu “ ummeed to yahi hai par shayad next yr jaana bhi pade”
Jaane ki baat sunkar fir se dono khamosh ho jaate hai.
Ese hi kuch dino tak sab normal chalta hai. ph pe bata karna, text xchange karna, kabhi kabar yuhi mil lena. 1 saal yuhi nikal gaya.
Ashu ko apne dil me chupi hui feelings ka ehsaas tab hota hai jab use pata chalta hai piya already kisi or se pyaar karti hai. use jaise ab kuch bhi achcha nahi lagta. Har choti baat pe vo gussa hone lagta hai.

Jis din se use piya ke pyaar ke bare me pata chalta hai vo use bhi thik se baat nahi karta. Piya ko ye sab bada ajeeb lagta hai or akahir vo use pooch hi leti hai “ kya hua? Aajkal bada gussa aa jata hai tumhe? Tumhari gf kisi or ke sath bhaag gai kya? “ vo use yuhi chedti rehti hai tabhi “ tum chup nahi reh sakti kya, ab gussa bhi tujhse poochke karu main. Piya main is bare me baat nahi karna chahta. Band karo”
Are main to mazak kar rahi thi, itna kyun gussa ho rahe ho. Pata hai sameer .........”
“Mujhe nahi sunna...” ashu uski baat beech me hi kat deta hai
“Plz mujhe nahi sunna tumhare sameer ke bare me mujhe abhi jana hai baadme milunga. Chalo tumhe drop kar deta hu.”
Piya ko kuch samajh anhi aata vo chup chap uske saath chali jaati hai.
Use drop karte waqt “ piya m sorry! Mujhe gussa aa raha tha. Isiliye itna rude behave kiya.”
“koi nahi, par main janna chahti hu iss gusse ki vajah”piya
Ashu “ kuch nahi main abhi jar aha hu. Bye”
Piya ke mann me saval the bahut se aaj jo hua use lekar par fir usne socha “ use to vaise bhi gussa aata rehta hai choro”

Ashu ne piya se kabhi uske sameer ke bare me nahi poocha tha. Par ab jis tarah vo roz uski tareef karti thi vo tahk chukka tha usne use aakhir na chahte hue bhi use pooch liya “ esa hai kya uss sameer me , jab dekho usi ka naam leke pakati rehti hai, hai kon yeh or kaha hai, mili kaise iss joker se?”

“ hey!1 joker mat bolo use. Tu janta hi kitna hai use? Vo bahut sweet hai. infact uske jaisa koi nahi.”
“ok to ab tareef kea lava kuch sach bhi bata do uske bare me?”
“ huh!! Sameer mera ol frnd hai”
Bas ye sunte hi ashu ko jaise jhatka lagta hai. vo uthta hai or piya ko daantne lagta hai “ bas iske aage or kuch bolne ki zarurt nahi hai. main sab samajh gaya. Tera dimag kharab hai piya. Ek banda jise tu mili nhi. Janti tak nahi. Use pyaar kar bethi. Mujhe laga tha vo koi real hai par ye to virtual nikla.”
“kya matlab janti anhi? Main sab janti hu uske bare me. Vo bahut achcha.......................”
“ hana hana tu rehne de. Tu milke aai hai use? Dekha hai use? Pados rehta hai jo bol rahi hai janti hai? tu esi bevakoofi karegi maine socha nahi tha. Mujhe pehle pata hota ye sab to kabka rok diya hota”
“ ese mat bol i do really love him”
“ do hell with your love! dekh piya dis is just an attraction. Ese koi pyaar hota hai kisise? Ye bevakoofi hai. khudko nuksaan mat pahuncha. Or sabse pehle to ye bata he loves u?”
“no” piya

“ wow!! He dnt love u. Fir ye sab kyun kar rahi hai tu. Just stop all this.”
Vo ese hi piya ko bahut daant lagata hai or piya bahut emotional hai vo rone lag jaati hai
“ oho!! Piya ro mat main tujhe sirf samjha raha hu.”
“tum nahi samjhoge. Mujhe kabhi samajh hi nahi sakte tum. Kabhi kisise pyaar kiya ho to pata chalena”
Usi baat sunkar use dukh hota hai “ kaise samjhe use vo use kitna pyaar karta hai”
“ok mujhe kuch anhi pata. Chalo a bro mat m sorry!! Plz “
Vo bahut pareshan ho jata hai. aakhir vo kaise piya ko apni aansu waste karne de ese insaan ke peeche jo actualal me hai bhi ya nahi, jo use pyaar hi anhi karta, or na jise vo janti hai
“ no way!! Ye ladki pagal ho gai hai . ise in sabse door karna padega. Uska kabhi bhi dil toot sakta hai. jab ese relationship bante hai to pata nahi chalta par jab toot te hai to vo insaan bhi toot jata hai jisne uss relation pe sabse zyada bharosa kiya.
Piya ke saath bhi kuch esa hi tha. Ashu ne aakhir use pyara kiya tha. Kaise karne deta use vo esi galti.
Bas use samajh nahi aa raha tha vo kya kare jisse uske dimag se ye sab hatt jae. Yahi sochkar vo use roz roz koi nayi kahani banakar sonata tha logo ke orkut ki vajah se hue nuksaan ka. Unke dil tootne ka. Apni life spoil hone ka. Aakhir vo khud is experience se guzar chukka hai use pata haisocial networking ki vajah se usne apna kitna waqt barbaad kiya tha. Uski padhai. Uska career ek baar to jaise khatam hone ko tha. Badi mushkil se usne fir se khudko sambhala tha. Ab vo ye sab apni dost ke saath hote nahi dekh sakta tha.

fir ek din vahi hua jiska use darr tha. Piyake xam me marx bahut kharab aae. Jiski vajah se use na sirf dant sunni padi balki usk coll me bhi uska nuksaan hua. Us ladke ki vajah se vo apni padhai pe concentrate nahi karti thi.
Jo scope uske liye khule the ab uske kam marx ki vajah se vo bhi anhi rahe.
Vahi dusri taraf ashu ne fir se humesha ki tarah coll me top kiya 9 points ke saath.
“ dekha maine kaha tha tujhe padhai pe dhyaan de par nahi tumhe use kya. Main to humesha galat bolta hu na. Or ab MBA ke entrance xam ki taiyaari bhi agar ese ki to bethe rehna yuhi coll me. “
“ bas yara ek to gahr pe sab dant rahe hai upar se ab tub hi mujhpe chillana shuru kar de”
“ hmm tujhe samjhana kitna mushkil hoga ye maine socha bhi nahi tha. Piya main ye nahi keh raha ye sameer ki vajah se hua par ye soch tu in sabki vajah se apna kitna nuksaan kar rahi hai tujhe andaaza bhi anhi hai. main yeh nahi keh raha use bhool jao bata mat karo. Par kam se kam uske liye apne future ko kyun spoil karti hai. agar tere achche marx nahi aae to tu khud soch use bhi achcha nahi lagega.”
Ashu ke pass piya ko samjhane ka isse better tareeka nahi tha. Vo sameer ko nahi janta tha par piya ko samjhane ke liye pehli baar usne usi ke naam ka istemaal kiya. Vo janta tha esa kehne se piya pe kuch to asar hoga.
Or esa hua bhi. Vo apni padhai pe dhyaan dene lagi. Ashu ne har baar jab bhi koi pblm hoti har hala me piya ka saath diya. Chahe uske liye use pblm kyun na uthani pade or piya ko [pata bhi nahi chalne diya.

Sameer ka piya ko ignore karna piya ko bura lagta tha. Use samajh aane laga vo kya kar rahi thi. Ashu sahi tha. Use pehle hi uski bata sun leni chahiye thi. Piya ne socha.
Par fir bhi pehla pyaar pehla pyaar hi hota hai. piya ne bhale hi virtual world se judnaa band kar diya ho par uske pehle pyaar ki yaad uske dimag me humesha rehti thi.
Ashu or khudko nahi rok pa raha tha.
Aaj ashu ka b’day tha or usne usi din piya ko propose kr diya. Piya ke pairo ke neeche se jaise zameen khisak gait hi. Usne esa kabhi socha bhi nahi tha. Vo ashu ko pasand karti thi par use kabhi vaise pyara nahi kiya tha. Vo khud ko sambhal nahi pa rahi thi. Vo use haan nahi bol sakti thi or naa kehne se darr tha use kahin aashu ko bura laga or use unki dosti pe asar hua to. Vo ashu ko khona nahi chahti thi. Use samajh nahi aa raha tha kya kare.
“ ashu vo actually..”
“ mujhe pata hai u don’t love me but still i feel like mujhe bata dena chahiye. Main kuch nahi chupa sakta tujhse. “
“ oh! Isiliye mujhe sameer se door rehne ko kehte the” piuya ne mazak karte hue bola
“ nahi pagal main esa kabhi anhi karta agar mujhe lagta to vo thik hai to. Tum uske saath khush ho to main bhi hu par tu sach me galat kar rahi thi. He dnt deserve u. Use tere pyaar or teri feelings kisi ki parvaah bhi nahi hai. or ho bhi kyun afterall tu uske liye thi kon.”

“ uff maine fir se zyada bol diya. Sorry tujhe hurt nahi karna chahta. Bas sach bol raha hu.”
“ or mujhe hurt hua bhi anhi . aadat pad gai hai , par tu mere liye mera best frnd hai bachpan se ab main tujhe ek dusre relationship me nahi apna sakti. Mujhse nahi hoga.”
Ashu jaise bas rone ko hi tha. Uska dil bhar aaya tha. Par usne ese jataya jaise sab thik hai. pora din vo log bahar ghoome njoy kiya par usne khud ko kaise sambhala tha vahi janta tha. Ab ye khush hone ka natak use or kiya nahi jar aha tha. Or vo usi ke saamne ro pada. “ m sorry mujhe jana hai. main or nahi reh sakta yahan” ashu ke saare frnds or piya vahi the. Usnhe samajh nahi a araha tha akahir kya hua hai use. Bas piya janti thi. Vo khudko guilty feel kar rahi thi. Uski vajah se aaj pehli baar usne ashu ko rote dekha tha.
Kuch din yuhi nikal jaate hai. ashu ki job lagti hai or vo janabujhkar esi city select karta hai jo piya ke sheher se bahut door ho. Bas 1 hi week bacha tha ashu ke pass. Uske baad use jana tha. Usne soch liya tha vo vapas nahi lautega. Uske liye fir se normal hona mushkil tha. Vo janta tha piya uses pyaar nahi karti par dil m ek ummeed thi k shayad.............. par vo ummeed bhi ab toot gai thi.
Pia bhi bahut akeli ho gai thi. Vo uske jaane se pehle use milna chahti thi. Uss din ashu apni mumma ke saath piya ke ghar aaya tha. Vo khud ko normal dikhane ki koshish kar raha tha par uska dukh piya se chupa nahi.
“ tum thik ho?” piya ne poocha
“hana mujhe kya hoga. Dnt wry main thik hu. Bas kal chala jaunga fir to sab thik ho jaega.”
Ashu ki kahi akahri line jaise uske dimag me ghoomne lagi vo kehna kya chahta tha. Kya uske jaane se piya ko khushi ho rahi hai.
Vo chala jata hai. vo koshish karta hai piya se kam baat karega. Vo sochta hai kash vo use na mila hota. Kash use uses pyaar na hua hota.

Use bhoolne ki koshish use piya ke or kareeb le aati hai. uska pyara to jaise kam hi nahi ho raha tha.
Udhar piya ko ehsaas hota hai use ashu ki aadat ho gai hai.shayad use bhi pyaar ho gaya hai ye 6 month usne kaise kaatey hai vahi janti hai. kitni baar din me vo use bata karne ki koshish karti thi par kabhi ph off to kabhi ashu busy. Jaise vo khud rok raha hai use baat karne se.
Piya ko ehsaas hota hai usne kya kho diya hai. ek esa pyaar jo shayad kabhi kisiko nahi mila. Ek esa pyaar jo sirf uska tha. Ashu ka unconditional love.
Ashu ko pata chalta hai uske papa ko heart pblm hai vo bahut severe hai or shayad ab uski umar zyada din ki nahi rahi. Uski mom chahti thi vo shaadi kar le. Uske papa jaane se pehle uski haadi hote dekhna chahte the.
Vo ye shaadi nahi karna chahta tha kyunki vo to piya se pyaar karta hai par apni family ko bhi bnahi chor sakta tha. Piya shayad use chahne lagi thi par vo piya ko shaadi ke liye nahi bol sakta tha aakhir ye piya ke acreer ka saval tha or vo padhai kar rahi thi ese me vo apne liye piya ka career daav par nahi laga sakta tha.
Finally use apne pyaar or family ke liye compromise karne ka soch liya. Usne apni family ke kehne pe shaadi karna decide kar liya.
Piya ko jab ye pata chala to use bahut dukha hua or laga jaise kuch kho diya usne kuch esa jo usi ka tha. Ashu se zyada to vo pareshaan thi. Ashu se kuch chupa nahi. Usne use samjhaya k usne ye sab kyun kiya.
Usne apni marzi se bhale shaadi an ki par vo ye janta tha agar vo piya ko propose karta to vo kabhi mana nahi karti par uski khushi or sirf piya ko pane ke liye vo uska future ese daav pe nahi laga sakta or Ye uska pyaar hi to tha jisne apni family or apne pyaar ke future ke liye apni khushi ko kurbana kar diya.

2 comments:

  1. ye story pedkar mehsus kua ki schcha pyar kya hota h.. mai to sochta tha kisi ki care krna,usko kabhi hurt na krna hi pyar h but pyar me apne partner ki khushi ke liye sacrifice krna hi SCHCHA PYAR h.... i will do dis 4 my luv bcoz i luv her a lot she cant realize dat...

    ReplyDelete
  2. nice one....reah mai nahi soch sakta tha ki u itni pyaari story bhi likh sakti ho

    ReplyDelete