Sunday, February 27, 2011

The Story - Ek Chota sa Kadam

By - Ishita shah

9:30 pm :
"Hello, Meeta.."
"Ek minute tum baad me call karo na"
Laga ko avaaz thoda kaap raha tha...Sab so gae...
"Are kal call karte hai, Aaysuh ka kal hi operation hua hai, aaram karne do usse...Tum bhi so jao, kal morning call

karenge..."
Nahi par mujhe nind nahi aai... JAb tak mai Meeta se jaan na lu ki sab thik hai, mujhe nind bhi nahi aaegi...

10:00 pm :
"Hello, Meeta"
Samne bus Meeta ke rone ki avaaz aa rahi thi...
"Aayush ko kuch ho gaya hai, doctor dekh rahe hai, tum aao na yaha please mujhe kuch smajh nahi aa raha"
Meeta ke devar Abhishek ne mobile lia aur kaha abhi doctor dekh rahe hai Aayush ko, usse heart attack aaya

hai...Papa hai kya unnko uthao na...
Kuch samajh nahi aa raha tha kya ho raha hai....
Papa aur Abhishek ki kuch baat hui... papa uthe unnhone kaha mai aata hu, hum puna chale hai...ghar me utne paise

bhi nahi the.. atm se paise nikalne gae vo...

Vapis aae aur bole chalo hame jana hoga..Aaayush nahi rahe....

Meeta ke bare me sochke dil baitha ja raha tha..Vaha pohoche to dekha vo chupchap baithi thi..

Mujhe dekha aur pata nahi usse kya hua meri aur dodti hui aai... Kal sham ko usse baat hui usske baad vo aise hi

chup chap bethi thi...

Vishwas nahi ho raha tha par sach yahi tha Aayush abb nahi hai...Meeta meri cousin hai aur Aayush mere jijaji...

Mere Jijaji, mere Dost... Lad jhagadke Meeta aur Aayush ki shaid karvai thi... sab iss shadi se khilaaf the...
Par hum dono ne sabko akahir manva hi lia..

Aur shadi ke bus 1 saal baad ye hua hai...

Aayush ka ek operation hua tha leg joint ka, par dusre hi din usse heart attack aaya...

Shayad Aayush ko bachaya ja sakta tha... Par hospital staff aur doctors ke negligence vajah bani ...
Operation ke baad ek bhi baar usska bp check nahi kia aur usse doctor ke samne attack aaya aur unko smajah nahi

aaya...

Isse pehle meri life me koi problems hi nahi the koi... Di ki chhoti behen.. Aaysuh ki pyari saali...
Koi problem hoti Ayyush ko call karti thi... Vo mere lie Jijaji nahi ek frind tha... Apni saari pareshania usspe

daal deti thi...
Par isske baad mera bachapana kahi kho gaya tha...
Aur sabki pareshaniya apne uper le li thi...Sabki apne apne gum the...Meeta ka...Uncle aunty ka....Aaysuh ke gharke

logo ka...Uss din meri bari thi unn sabko smahalneki ....Achanak ek hi din me bohot bade hone ka ehsaas..


Mai thi nahi Puna me jab ye sab hua tha, par jab pata chala, smajh aa gaya ki galti sarasar hospitalvalo ki thi...

Itna bada hadsa ho gaya par mere aur Meeta ke ilava koi aage nahi aaya hospital ke khilaaf bolne ke lie...sabke apne

apne reasons the...

"Janevala to chala gaya, abb kya hasil hoga?"

"KISMAT me yahi likha tha, ho gaya, abb jane do.."

"Jo hona tha hua, abb sab bhul jao.."

"Jane se phele doctors ne puri koshish ki, aur kuch kar bhi nahi sakte the.."

"Ye sab baate mat karo, mera BP high ho jaega"

"Itna bada hospital hai, hum unn logo ke khilaaf kya kar sakte hai?"

Aur hame bhi chup bitha dia gaya....

Ek savaal Meeta ne poocha tha, Agar Aayush ki jagah mai mar jati to kya Aayush ne uss doctor ko aise hi jane dia

hota?

Par kaun sunta hai agar humne avvaaz uthai hoti? Yaha par aavaaz unnki bulanad hoti hai jinnki mutthi me paiso aur

power ka dum ho.... Baki sab insaan bus Aam Admi me aate hai,unnki aavaaz me itna dum nahi

Aise 100 crore log hai hamare desh me, aur hamari aavaaz unnme hi kahi kho jati hai....Kisske pass itna waqt hota

hai ki hamari sune...DSabke apne apne jimmedari hoti hai... apne apne problems hote hai jinnse akele khud jujhana

hota hai....Shayad issi lie sabke dil pathar ke ho gae hai, jinnpar koi asar nahi hota inn sab baato ka....

Aur ek din maine bhi jhutane tek die sabko samjhate samjhate.. Lag raha tha dur bhag jae...Inn sab logo se durr chale jae... Problems se durr bhagana asaan hai, par apne Zameer se bhagana mushkil hai jo ajj bhi ye manta hai ki
Aaayush aur Meeta ke sath hui nainsafi ke lie mai kuch kar nahi pai....Fir chahe ussko humne majboori ka naam hi kyu na de dia....

4 Months ke baad Priti ka call aaya, dad ka operation hai... Pata chala ki unnka bhi vhai operation hona tha jo Aayush ka hua tha...Doctor ne kaha tha ki sab thik ho jaega, puri Guarentee deta hu mai...

Ussi din aunty se baat ki aur sab kuch bataya, dusre din operation tha par uss doctor ne operation postpone kia aur do din baad doctor ne bol dia ki shayd uncle operation ke baad bhi thik na ho....

Ajjtak jitne logo ne mujhe ye poocha tha ki kya mil jaega abb ladke, jabke janevala chala gaya,unn logo ko ye batane ka maan kar raha hai, ye hasil hua hai mujhe...

Jisse hum gujare koi aur na gujare iss lie hum ladna chate hai...

Uncle ke sath shayad aisa kuch ho sakta tha, kyuki unnki umar 50 ki hai aur unnko heart se related problems bhi the....

Chalo kuch to hasil hua hame, bus itna hi bohot hua...

Shayad vo doctors aur hospital isske baad patients ka khayal thoda thik se le...

Hamara ek chhhota sa kadam shayad kisiski jhindagi me koi aur mod la sakta hai, to agar hum kuch kar nahi pae koi bhi majburi ki vajah se, fir bhi himmat na haro...

Suraj na bann pae to koi gum nahi, ek dia bunnke raat ko andhere ko hi roshan kar de, bohot hai....

No comments:

Post a Comment