Sunday, February 27, 2011

The story - Ek Hi Kahani

By: Ishita shah

"Memsab, Sham ke lie sabji kya lau"
Achanak Geeta ki aavaajh se mai ekdum chauk gai

"Kaha kho gai thi membsab"

"Are kuch nahi bus soch rahi thi ki sham ko kya banana hai"

Jaldi jaldi me jo jhuth sujha vo bol dia....Acahank se office vale din yaad gae the, ussi ke baare me soch rahi thi....

"Memsab sabji leke aati hu tab tak Phulva ko bata do ki store room se purane chijhe kaunsi saaf karni hai "

Mai aur Phulva store room chale gae, saari purani cheeze nikali saaf safai ki. Papers ke cupboard me ek file mili Phulva ko.

"Ye kya hai? Kuch kaam ka hai ?"

Mera certificates ki file, ohh to maine yaha rakhi thi, pichle mahine dhund rahi thi to mili nahi.

"Nahi innko chhod de isse, baki sab dekh, issko kabse dhund rahi thi maine"

"Kya hai ye?"

"Certificates ki file hai ye meri"

"Accha dikhaiye to... Are vaah dance competetion me Best Dancer ka prize, app dance bhi karti thi?"

"Ha re , kathak sikha tha maine, school aur college me aise hi competetion me part lia karti thi"

"Are ye kya, Cooking, Beauty parlour, Singing, Story Writing Contest, Painting, baap re appne kya kya kia hai..Mujhe bhi sikhaiye na ye sab..."

"Baki sab rehne do, issko app vo acha accha khana banati hai na, punjabi aur chinese vo sikha do memsab, shadi ke baad kaam me aaega"

"Ha jab shadi layak ho jaegi tab sikh legi, abhi pehele isse padhane do"

"Kya memsab, 14 saal ki to ho gai, isske lie ladka dekh rahe hai hum log, agle saal to shadi bhi kar denge"

"Pagal ho kya? Isske khelne ke din hai ye, padhai ke din aur abhi shadi karvaogi? 18 saal pehele bhyaah karna gairkanuni hai...Kaun karvata hai ajj ke jamane

me itne jaldi shadi?"


"Ye sab app logo me hota hai memsab, hum logo me to shadi ho jati hai ladki ki iss umar me...Appki tarah hamare pass paise to nahi, jyaeeda der ghar pe bitha

rakha to ladka bhi nahi milega aur dahej bhi dena padega.."

"Itni jaldi shadi karvaegi usski? Ghar gruhasti ki jimmedari itne kum umar me kasie kar paegi?"

Sikh legi sab memsab, humm logo me sab aise hi hota hai, 10 saal ki uamar se khana bananana sikha rahi hu me usse aur me jab idhar aati hu to apne teeno

bhaiyo ko yahij to samhalti hai na maa banke, adat ho jati hai sabki "

"Par ye kitni hoshiyaar hai janti ho tum, kai baar maine issko newspaper padhte dekha hai, English shayad bohot kum padhate hai school me, yaha par mai beth

ke usse padhati hu kabhi kabhi"

"Janti hu par ye sab kaam nahi anevala, maine to pichle mahine isska school se naam nikalva dia hai"

"Kya? Are isse padhne do, ye bohot naam karegi"

Utne me mummyji ne mujhe aavaaz lagai

"Anuradha, jara chai to rakhana"

Baat adhuri reh gai aur Geeta aur Phulva chali gai... Bada bura lag raha tha sab jaanke...Itni hosiyaar ladki... abhi abhi ussne kaha tha mujhe ki mujhe bhi

sab sikhana hai... usse bada shauk hai sab nai nai cheeze sikhne ka... par kya fayada... isska to school hi chhut gaya...aur isski shadi bhi karne ki soch

rahi hai abb Geeta...

"Arre sun Anu, Kal Seema aai thi, ek envolope deke gai thi, dekh vaha drawer me rakha hai"

Chai rakhi, mummyji ko subah 2 baar chai pine ki aadat hai... Bohot dino baad mummyji matlab meri saas aur mere sasur aae hai Delhi hamare sath rehne 2

mahine ke lie....

Meri aur Navin ki shadi ke baad hum log turant Delhi aa gae the ... usske mom dad Mumbai me rehte hai... Teen saal ho gae Delhi me abb...

Chai ke cup leke living room me aai aur drawer se envolope nikala... Best Employee of the Year ka certificate tha ussme...

"Are mummy ji dekhie mujhe Best Employee ka award mila hai"

"Accha, hmmmm chalo accha hai, are jara toast to lake aao, davai leni hai, to thoda kha lu"

As always, meri koi cheez haar baar jane anjaane me najarandaaz ho jati hai...
Jaha Navin ki har increment, promotion ki baat mummyji bade khushi se sunti hai, vaha mere job ki baat ate hi koi sunna pasanad nahi karta... Ajj ka nahi,

jab shadi tay hui thi tabhi Navin aur mummyji ne mujhe bata dia tha ki shadi ke baad naukari nahi kar sakti tum...

Ek baar aise hi ek rishta aaya tha mere lie, jaha ladke ko ye pasand nahi tha ki mai job kar rahi hu aur aage bhi karna chahungi, aur maine iss baat par uss

ladke se poocha tha ki naukari karne me kya buarai hai? Bus rishta nahi hua...
To iss baar jab Navin ka rishta aaya, dad ne kaha tha ki ladka accha hai, agar unnki taraf se ha aae to unnki jo baate hai manjur kar lena...

Navin me na kehnevali koi baat hi nahi thi, Engineer aur MBA, acchi job, Delhi me Assistant Manager ki post, Car, Accha flat, aur kya chaiye tha.... Socha

shadi ke baad dhire dhire unnhe mana lungi....

Aur hua bhi yahi... Shadi ke baad ke 2 saal kaise gae samajh nahi aaya, fir thoda ha-na ke baad Navin ne naukari ki ijazaat dedi...
Aur ek hi saal me maine itna accha progress kar lia ki mujhe Project Manager ki post ek hi saal me mil gai aur sath me jimmedari bhi badhi... Ghar par time

kum milta tha... kabh kabhi Navain ghar par aa jate the aur mai office me kaam kar rahi hoti thi...

Aise hi kuch hua tha jab pichle mahine mummyji aai thi.. Bus fir kya tha... Dusre din se hi roj behes shuru..
"Jarurat kya hai job ki? Raat ko khana bhi nahi banati... Ye kaisi grihasti samhalti hai bahu..."

Navin ne unnhe samjahne ki koshish ki par askhir thak haar ke unnhone bhi mujhe ultimatum de dia... chhod do job...

Mere koi baat sunne ko tayaar nahi tha,
Navin ne bhi bol dia, ek saal ki job, bohot ho gaya timepass... mere talent, intelligence ko timepass ka naam de dia gaya...

Par Navin ko abb samjahana mushkil tha... Unnhe badi mushkil se manaya tha job ke lie... Iss shart par ki problem hui to turant chhod dungi job... Unnhe kaha

farak padta tha tab... Vo to office chale jate the.. Pura din mai bore hoti thi...

"Subah 8:00 se raat ke 9:00.. office ke kaam me uljhe rehte ho app, mera time nahi jata... "
"Thik hai timpass ke lie kar lo koi job..."

Aur abb mummyji aa gai aur unnke anusaar mujhe ghar grihasti me dhayn dena chahiye... Apne parivaar ke prati meri sab jimmedari nibhani chahiye..Abb bacche

ke bare me sochna chahiye... Job kasie kar paungi mai abb??..

Resignation deke ghar aa gai mai... 1 month ka probation khatam hua, abb 24*7 House wife ki job chal rahi hai..

Vo certifiacate bhi ussi file me daal dia... Ajeeb haina... Mujhe maa-baap ne itna padhaya, kya sirf iss lie ki mujhe ek accha pati aur parivaar mile? Mere

apne sapno ka kya? Meri apni iccha kya koi mayne nahi rakhti?

Tabhi Geeta aai, "Lao memsab, saab ke files rakh du na almarih me?"

"Nai ye mera hai, isse mere room me rakh deti hu.."

"Kya hai ye memsaab?"

"Are mere certificates hai.."

"Accha batao memsaab... agga baya baya... itna sab padhi hai kya memsaab... mere lie to kala akshar bhes barabar...Lao innhe samhalke rakh deti mai"

Vo jate hue vapis mud gai

"Dekha memsaab app kabka bol rahi thi ki Pulva ko padhao karke.. kya fayada dekho memsaab.. app bhi itna padhi ho... par abb app bhi ghar hi samhalti

hona...app bade log ho... hum itna kharacha nahi kar sakte padhai ka... Phulva ke lie yahij thik hai... usska lagin karva dengi mai agale saal.. bus ussko

accha dulha mile yahi chinta satati he merko..."

Geeta chali gai aur mai vaha but bani khadi reh gai thi... Jamana badal gaya... Par ajj bhi hamare lie bane niyaam nahi badle... Mai aur Phulva, ek hi kahani

hai.... Ek hi bhavaar me fase hue...
"Anu, Navin ka phone tha... ajj sham usse office ke kaam se Singapore jana hai, ussne kaha hai usska samaan pack kar de..."

Chalo, ye kaam pehle... baki baato ko sochne ke lie Navin ke jane ke baad puri raat padi hai....Aur mai apne room me chali jai....

No comments:

Post a Comment